nazar mat bul-hawas par kar are chanchal sanbhaal ankhiyan
nazar mat bul-hawas par kar are chanchal sanbhaal ankhiyan
Obaidullah Khan Mubtala
MORE BYObaidullah Khan Mubtala
nazar mat bul-havas par kar are chanchal sañbhāl añkhiyāñ
ki us bad-fe.al suuñ khīñcheñgī āḳhir infi.āl añkhiyāñ
judā.ī se hove mafrūr jaañ qālib ke suuba suuñ
apas dīdār suuñ kartī haiñ phir us kuuñ bahāl añkhiyāñ
nigāh-e-garm gul-rū siiñ huā raushan yū maalī par
ki ab sūraj naman nargis pe lādeñgī zavāl añkhiyāñ
huā mā'lūm bad-kārāñ taraf nit siin karne suuñ
ki rajvāre meñ bastī haiñ sirījan kī juhāl añkhiyāñ
jahāñ ke rāvtāñ suuñ ġhamza ke neza kuuñ chamkā kar
nazar-bāzī ke maidāñ biich kartī haiñ qitāl añkhiyāñ
muravvat kā asar dastā nahīñ us shoḳh chitvan meñ
magar rakhtī haiñ 'āshiq suuñ apas dil meñ malāl añkhiyāñ
siyah-chashmī huī zāhir lalan kī chashm-poshī meñ
chhupātī haiñ apas mushtāq suuñ apnā jamāl añkhiyāñ
nazar mat bul-hawas par kar are chanchal sanbhaal ankhiyan
ki us bad-feal sun khinchengi aaKHir infial ankhiyan
judai se howe mafrur jaan qalib ke suba sun
apas didar sun karti hain phir us kun bahaal ankhiyan
nigah-e-garm gul-ru sin hua raushan yu mali par
ki ab suraj naman nargis pe ladengi zawal ankhiyan
hua ma'lum bad-karan taraf nit sin karne sun
ki rajware mein basti hain sirijan ki juhaal ankhiyan
jahan ke rawtan sun ghamza ke neza kun chamka kar
nazar-bazi ke maidan bich karti hain qital ankhiyan
murawwat ka asar dasta nahin us shoKH chitwan mein
magar rakhti hain 'ashiq sun apas dil mein malal ankhiyan
siyah-chashmi hui zahir lalan ki chashm-poshi mein
chhupati hain apas mushtaq sun apna jamal ankhiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.