nazar mein apni kabhi is qadar bura to na tha
nazar meñ apnī kabhī is qadar burā to na thā
maiñ apne-āp se pahle gurez-pā to na thā
ye kyā kiyā use taqdīr sauñp dī apnī
mirī tarah vo ik insān thā ḳhudā to na thā
guzar gayā jo barābar se muñh chhupā.e hue
ye sochtā huuñ kahīñ koī āshnā to na thā
kise qubūl thā zindān-e-āb-o-gil lekin
ab aur us ke sivā koī rāsta to na thā
jamī thiiñ mujh pe nigāheñ jo ik zamāne kī
mujhe vo muḌ ke sar-e-rāh dekhtā to na thā
tamām-umr rahī jis kī justujū 'ḳhāvar'
kahīñ vo shaḳhs mujhī meñ chhupā huā to na thā
nazar mein apni kabhi is qadar bura to na tha
main apne-ap se pahle gurez-pa to na tha
ye kya kiya use taqdir saunp di apni
meri tarah wo ek insan tha KHuda to na tha
guzar gaya jo barabar se munh chhupae hue
ye sochta hun kahin koi aashna to na tha
kise qubul tha zindan-e-ab-o-gil lekin
ab aur us ke siwa koi rasta to na tha
jami thin mujh pe nigahen jo ek zamane ki
mujhe wo muD ke sar-e-rah dekhta to na tha
tamam-umr rahi jis ki justuju 'KHawar'
kahin wo shaKHs mujhi mein chhupa hua to na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.