nazar mein jab se teri chashm-e-kaif-amez hai saqi
nazar mein jab se teri chashm-e-kaif-amez hai saqi
Muneer Ahmad Jami
MORE BYMuneer Ahmad Jami
nazar meñ jab se terī chashm-e-kaif-āmez hai saaqī
mujhe jām-e-sharāb-e-nāb se parhez hai saaqī
nigāh-e-shauq kī hairāniyāñ baḌhtī hī jaatī haiñ
hazāroñ rang meñ ye kaun jalva-rez hai saaqī
idhar to jalva-gar dil meñ idhar poshīda āñkhoñ se
ye nazdīkī meñ duurī bhī tahayyur-ḳhez hai saaqī
ye kyā sūjhī tujhe duniyā-e-nau kī tarah-andāzī
jahāñ kā zarra zarra inqalāb-angez hai saaqī
shahīdān-e-mohabbat zinda-e-jāved hote haiñ
vo amrit hai jo terā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saaqī
ḳharābāt-e-do-ālam kā mujhe mastāna kahte haiñ
mirā dil bāda-e-anvār se labrez hai saaqī
tirā 'zā.iq' na kyoñ nāzān ho iqbāl par apne
savād-e-hind jis se sānī-e-tabrez hai saaqī
nazar mein jab se teri chashm-e-kaif-amez hai saqi
mujhe jam-e-sharab-e-nab se parhez hai saqi
nigah-e-shauq ki hairaniyan baDhti hi jati hain
hazaron rang mein ye kaun jalwa-rez hai saqi
idhar to jalwa-gar dil mein idhar poshida aankhon se
ye nazdiki mein duri bhi tahayyur-KHez hai saqi
ye kya sujhi tujhe duniya-e-nau ki tarah-andazi
jahan ka zarra zarra inqalab-angez hai saqi
shahidan-e-mohabbat zinda-e-jawed hote hain
wo amrit hai jo tera ghamza-e-KHun-rez hai saqi
KHarabaat-e-do-alam ka mujhe mastana kahte hain
mera dil baada-e-anwar se labrez hai saqi
tera 'zaiq' na kyon nazan ho iqbaal par apne
sawad-e-hind jis se sani-e-tabrez hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.