nazar mein KHizr koi hai na ibn-e-mariyam hai
nazar meñ ḳhizr koī hai na ibn-e-mariyam hai
ajab balā meñ giraftār ibn-e-ādam hai
ulajh ulajh ke lipaTtā gayā yahāñ insāñ
bisāt-e-dahr nahīñ dām-e-zulf pur-ḳham hai
hamārā aap kā jiinā bhī hai koī jiinā
jo dil hai chaak hai jo aañkh hai vo pur-nam hai
mizāj dair-o-haram kal batā.ūñgā tum ko
misāl-e-gesu-e-pur-pech aaj barham hai
na dil-dahī hai na hai dil-barī kahīñ 'māhir'
zamāna de mujhe āzār jo bhī vo kam hai
nazar mein KHizr koi hai na ibn-e-mariyam hai
ajab bala mein giraftar ibn-e-adam hai
ulajh ulajh ke lipaTta gaya yahan insan
bisat-e-dahr nahin dam-e-zulf pur-KHam hai
hamara aap ka jina bhi hai koi jina
jo dil hai chaak hai jo aankh hai wo pur-nam hai
mizaj dair-o-haram kal bataunga tum ko
misal-e-gesu-e-pur-pech aaj barham hai
na dil-dahi hai na hai dil-bari kahin 'mahir'
zamana de mujhe aazar jo bhi wo kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.