nazar mein KHud ko basa do to koi baat bane
nazar meñ ḳhud ko basā do to koī baat bane
vafā ke phuul khilā do to koī baat bane
nazāre pyaar ke qisse sunā rahe haiñ abhī
tum apnā chehra dikhā do to koī baat bane
añdherā baḌhtā hī jaatā hai dil ke rastoñ meñ
vafā ke diip jalā do to koī baat bane
hazār bāteñ banā kar jo dil lubhāte ho
nazar nazar se milā do to koī baat bane
kabhī to tum bhī mire ghar meñ aa ke ai jānam
naqāb ruḳh se haTā do to koī baat bane
kabhī to ḳhvāb meñ aa ke qarīb is dil ke
tarāna pyaar kā gā do to koī baat bane
ġhazal kā naam jise de diyā hai ai 'ādil'
tum us kā naam batā do to koī baat bane
nazar mein KHud ko basa do to koi baat bane
wafa ke phul khila do to koi baat bane
nazare pyar ke qisse suna rahe hain abhi
tum apna chehra dikha do to koi baat bane
andhera baDhta hi jata hai dil ke raston mein
wafa ke dip jala do to koi baat bane
hazar baaten bana kar jo dil lubhate ho
nazar nazar se mila do to koi baat bane
kabhi to tum bhi mere ghar mein aa ke ai jaanam
naqab ruKH se haTa do to koi baat bane
kabhi to KHwab mein aa ke qarib is dil ke
tarana pyar ka ga do to koi baat bane
ghazal ka nam jise de diya hai ai 'adil'
tum us ka nam bata do to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.