nazar mein KHumar-e-sharab-e-mohabbat hasin ruKH pe zulfon ka aanchal girae
nazar mein KHumar-e-sharab-e-mohabbat hasin ruKH pe zulfon ka aanchal girae
Brijes Talat Nizamii
MORE BYBrijes Talat Nizamii
nazar meñ ḳhumār-e-sharāb-e-mohabbat hasīñ ruḳh pe zulfoñ kā āñchal girā.e
ye kaun aa rahā hai ḳhirāmāñ-ḳhirāmāñ nazar bahkī-bahkī qadam laḌkhaḌā.e
qayāmat se kam koī lamha nahīñ hai ḳhudā jaane milne ko kab aaoge tum
umīdoñ kā sūraj bhī Dhalne lagā hai baḌhe jā rahe haiñ daraḳhtoñ ke saa.e
nahīñ 'ishq muhtāj pābandiyoñ kā haqīqat yahī hai 'aqīdat yahī hai
lagā dī vahīñ muhr-e-ulfat jabīñ se jahāñ aap ke naqsh-e-pā ham ne paa.e
nazar mein KHumar-e-sharab-e-mohabbat hasin ruKH pe zulfon ka aanchal girae
ye kaun aa raha hai KHiraman-KHiraman nazar bahki-bahki qadam laDkhaDae
qayamat se kam koi lamha nahin hai KHuda jaane milne ko kab aaoge tum
umidon ka suraj bhi Dhalne laga hai baDhe ja rahe hain daraKHton ke sae
nahin 'ishq muhtaj pabandiyon ka haqiqat yahi hai 'aqidat yahi hai
laga di wahin muhr-e-ulfat jabin se jahan aap ke naqsh-e-pa hum ne pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.