nazar mein muddaton ibrat ka manzar baiTh jata hai
nazar meñ muddatoñ ibrat kā manzar baiTh jaatā hai
saf-e-fuqarā meñ jab koī tavangar baiTh jaatā hai
tazād-e-bāhamī ho bhā.iyoñ meñ ik tabāhī hai
hoñ dīvāreñ agar kachchī to phir ghar baiTh jaatā hai
parā.e ho ga.e beTe na pūchheñ lāġharī meñ ab
pareshāñ baap būḌhā sar pakaḌ kar baiTh jaatā hai
zamīr-o-ābrū ḳhuddāriyāñ sab bechī jaatī haiñ
bike zan mard darvāze ke bāhar baiTh jaatā hai
sharākat kī kamā.ī hai to kyoñ laḌ kar gañvāte ho
tarāzū le ke munsif ban ke bandar baiTh jaatā hai
karam hai lok-shāhī kā siyāsat kā karishma hai
karoḌoñ kī kamā.ī karke leader baiTh jaatā hai
thakan ko bhuul kar chalnā hī 'anvar' zindagānī hai
vo manzil pā nahīñ saktā jo thak kar baiTh jaatā hai
nazar mein muddaton ibrat ka manzar baiTh jata hai
saf-e-fuqara mein jab koi tawangar baiTh jata hai
tazad-e-bahami ho bhaiyon mein ek tabahi hai
hon diwaren agar kachchi to phir ghar baiTh jata hai
parae ho gae beTe na puchhen laghari mein ab
pareshan bap buDha sar pakaD kar baiTh jata hai
zamir-o-abru KHuddariyan sab bechi jati hain
bike zan mard darwaze ke bahar baiTh jata hai
sharakat ki kamai hai to kyon laD kar ganwate ho
taraazu le ke munsif ban ke bandar baiTh jata hai
karam hai lok-shahi ka siyasat ka karishma hai
karoDon ki kamai karke leader baiTh jata hai
thakan ko bhul kar chalna hi 'anwar' zindagani hai
wo manzil pa nahin sakta jo thak kar baiTh jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.