nazar meñ vo utāre jā rahe haiñ
muqaddar yuuñ sañvāre jā rahe haiñ
ai dariyā ham tumhārā saath deñge
jahāñ tak bhī kināre jā rahe haiñ
jinheñ pahle Duboyā jā chukā hai
vahī phir kyuuñ ubhāre jā rahe haiñ
zarā namkīn paanī se sunā hai
diloñ ke zañg utāre jā rahe haiñ
qayāmat jis jagah TuuTī thī ham par
vahīñ se phir guzāre jā rahe haiñ
hilā.ī thī kabhī zanjīr ham ne
sunā hai ab pukāre jā rahe haiñ
nazar mein wo utare ja rahe hain
muqaddar yun sanware ja rahe hain
ai dariya hum tumhaara sath denge
jahan tak bhi kinare ja rahe hain
jinhen pahle Duboya ja chuka hai
wahi phir kyun ubhaare ja rahe hain
zara namkin pani se suna hai
dilon ke zang utare ja rahe hain
qayamat jis jagah TuTi thi hum par
wahin se phir guzare ja rahe hain
hilai thi kabhi zanjir hum ne
suna hai ab pukare ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.