nazar milne se pahle hi nazara mil gaya mujhko
nazar milne se pahle hī nazārā mil gayā mujh ko
ki tanhā Duub jaane kā sahārā mil gayā mujh ko
hayāt-o-marg kī manzil huī hai pyaar meñ āsāñ
kināre se kahīñ pahle kinārā mil gayā mujh ko
chubhan bhī saath laa.ī haiñ uḌā kar nik.hat-e-gul meñ
havāoñ se patā apnā tumhārā mil gayā mujh ko
tasavvur aaj pahuñchā de mujhe aisī bulandī par
ki tere ḳhaas jalvoñ kā ishāra mil gayā mujh ko
jhukī palkoñ kī pahnā.ī meñ raqsāñ hai bahār-e-gul
'kañval' pal meñ chaman saare kā saarā mil gayā mujh ko
nazar milne se pahle hi nazara mil gaya mujh ko
ki tanha Dub jaane ka sahaara mil gaya mujh ko
hayat-o-marg ki manzil hui hai pyar mein aasan
kinare se kahin pahle kinara mil gaya mujh ko
chubhan bhi sath lai hain uDa kar nikhat-e-gul mein
hawaon se pata apna tumhaara mil gaya mujh ko
tasawwur aaj pahuncha de mujhe aisi bulandi par
ki tere KHas jalwon ka ishaara mil gaya mujh ko
jhuki palkon ki pahnai mein raqsan hai bahaar-e-gul
'kanwal' pal mein chaman sare ka sara mil gaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.