nazar milte hi barse ashk-e-KHun kyun dida-e-tar se
nazar milte hī barse ashk-e-ḳhūñ kyuuñ dīda-e-tar se
rageñ qalb-o-jigar kī chheḌ diiñ kyā tum ne nashtar se
yaqīnan kuchh ta'alluq hai tire dar ko mire sar se
vagarna lauh-e-peshānī kā kyā rishta hai patthar se
mire pahlū meñ hai ābād armānoñ kī ek duniyā
hazāroñ mayyateñ uTheñgī mire saath bistar se
vo apnī zulf bikhrā kar tasavvur hī meñ aa jaate
ye saaya bhī uThā ab to mirī ummīd ke sar se
vafā ne hasrat-e-kushta kā us ko ḳhūñ-bahā samjhā
girā jo ashk dāman par lahū kā dīda-e-tar se
sunā.ūñ tum ko vo lafzoñ meñ hāl-e-ḳhūbī-e-qismat
mire dāman pe barse bhī to ashkoñ ke guhar barse
mirī hastī miTāne vaale shāyad tū nahīñ vāqif
ki miT kar bhī banegī ek duniyā mere paikar se
ḳhayāl-e-ābla-pā.ī 'vaqār' ik uzr-e-be-jā thā
na ghar thā duur manzil se na manzil duur thī ghar se
nazar milte hi barse ashk-e-KHun kyun dida-e-tar se
ragen qalb-o-jigar ki chheD din kya tum ne nashtar se
yaqinan kuchh ta'alluq hai tere dar ko mere sar se
wagarna lauh-e-peshani ka kya rishta hai patthar se
mere pahlu mein hai aabaad armanon ki ek duniya
hazaron mayyaten uThengi mere sath bistar se
wo apni zulf bikhra kar tasawwur hi mein aa jate
ye saya bhi uTha ab to meri ummid ke sar se
wafa ne hasrat-e-kushta ka us ko KHun-baha samjha
gira jo ashk daman par lahu ka dida-e-tar se
sunaun tum ko wo lafzon mein haal-e-KHubi-e-qismat
mere daman pe barse bhi to ashkon ke guhar barse
meri hasti miTane wale shayad tu nahin waqif
ki miT kar bhi banegi ek duniya mere paikar se
KHayal-e-abla-pai 'waqar' ek uzr-e-be-ja tha
na ghar tha dur manzil se na manzil dur thi ghar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.