nazar milte hi kya kahiye main kya kya dekh leta hun
nazar milte hi kya kahiye main kya kya dekh leta hun
Mohsin Darbhangwi
MORE BYMohsin Darbhangwi
nazar milte hī kyā kahiye maiñ kyā kyā dekh letā huuñ
tirī āñkhoñ meñ tere dil kā naqsha dekh letā huuñ
chale jaanā abhī jaldī tumheñ kyā paḌ ga.ī aisī
zarā din dekh letā huuñ mahīna dekh letā huuñ
doī aisī miTī āḳhir ki ab ā.īne ke badle
tujhī ko ai but-e-ā.īna-sīmā dekh letā huuñ
bas itnī baat par mujh se ḳhafā haiñ ḳhānqah vaale
ki maiñ ik do ghaḌī chal phir ke duniyā dekh letā huuñ
abhī sāġhar na de mujh ko zarā mohtāt huuñ saaqī
tire piine pilāne kā tarīqa dekh letā huuñ
tumhārā huuñ magar tum se nahīñ huuñ ai chaman vaalo
koī dam aa ke phūloñ kā tamāshā dekh letā huuñ
vahī mastī bharī āñkheñ vahī shoḳhī bharī chitvan
unheñ maiñ yaad kyā kartā huuñ goyā dekh letā huuñ
baḌī jur.at se go arz-e-tamannā kar rahā huuñ maiñ
magar rah rah ke phir bhī un kā chehrā dekh letā huuñ
tujhe kis tarah chhoḌūñ kyā karūñ apnī nazar ko maiñ
taġhāful meñ tire rang-e-taqāzā dekh letā huuñ
bahut ai maut karne kā nahīñ maiñ intizār un kā
yahī do-chār din meñ aur rasta dekh letā huuñ
kabhī ab bhī milā un se to ai 'mohsin' tasavvur meñ
vo aglī sohbateñ aglā zamāna dekh letā huuñ
nazar milte hi kya kahiye main kya kya dekh leta hun
teri aankhon mein tere dil ka naqsha dekh leta hun
chale jaana abhi jaldi tumhein kya paD gai aisi
zara din dekh leta hun mahina dekh leta hun
doi aisi miTi aaKHir ki ab aaine ke badle
tujhi ko ai but-e-aina-sima dekh leta hun
bas itni baat par mujh se KHafa hain KHanqah wale
ki main ek do ghaDi chal phir ke duniya dekh leta hun
abhi saghar na de mujh ko zara mohtat hun saqi
tere pine pilane ka tariqa dekh leta hun
tumhaara hun magar tum se nahin hun ai chaman walo
koi dam aa ke phulon ka tamasha dekh leta hun
wahi masti bhari aankhen wahi shoKHi bhari chitwan
unhen main yaad kya karta hun goya dekh leta hun
baDi jurat se go arz-e-tamanna kar raha hun main
magar rah rah ke phir bhi un ka chehra dekh leta hun
tujhe kis tarah chhoDun kya karun apni nazar ko main
taghaful mein tere rang-e-taqaza dekh leta hun
bahut ai maut karne ka nahin main intizar un ka
yahi do-chaar din mein aur rasta dekh leta hun
kabhi ab bhi mila un se to ai 'mohsin' tasawwur mein
wo agli sohbaten agla zamana dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.