nazar na jaegi ab apni ma-siwa ki taraf
nazar na jaegi ab apni ma-siwa ki taraf
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
nazar na jā.egī ab apnī mā-sivā kī taraf
ḳharāb ho ke bahut aa.e haiñ ḳhudā kī taraf
zamāne kā hai yahī rang us kī fikr nahīñ
agar zamāna huā tum se be-vafā kī taraf
havā-e-zulf hī laa.ī hai daam meñ apne
qadam ham aap se rakhte nahīñ balā kī taraf
jahāñ se kuuch kī detā hai har-nafas āvāz
kisī ke kaan nahīñ nāla-e-darā kī taraf
tire firāq meñ jab se nahīñ umīd-e-asar
ḳhayāl bhī nahīñ jaanā kabhī duā kī taraf
nazar hai ḳhaas zamāne ke rang par apnī
na ibtidā kī taraf hai na intihā kī taraf
nazar na jaegi ab apni ma-siwa ki taraf
KHarab ho ke bahut aae hain KHuda ki taraf
zamane ka hai yahi rang us ki fikr nahin
agar zamana hua tum se be-wafa ki taraf
hawa-e-zulf hi lai hai dam mein apne
qadam hum aap se rakhte nahin bala ki taraf
jahan se kuch ki deta hai har-nafas aawaz
kisi ke kan nahin nala-e-dara ki taraf
tere firaq mein jab se nahin umid-e-asar
KHayal bhi nahin jaana kabhi dua ki taraf
nazar hai KHas zamane ke rang par apni
na ibtida ki taraf hai na intiha ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.