nazar nahin to faqat bankpan se kya hoga
nazar nahīñ to faqat bāñkpan se kyā hogā
vatan meñ aaj purāne chalan se kyā hogā
baġhair 'ishq kisī anjuman se kyā hogā
fasurda-dil ko bahār-e-chaman se kyā hogā
abhī to 'ishq ko talvār bhī uThānī hai
mahaktī zulf gulābī badan se kyā hogā
jidhar bhī dekhiye mansūr o ibn-e-mariyam haiñ
kisī ke sheva-e-dār-o-rasan se kyā hogā
yahī ki aur bhī rusvā kareñge insāñ ko
mizāj-e-shaiḳh-o-dil-e-barhaman se kyā hogā
Tapak rahā hai har ik phuul kī jabīñ se lahū
zabāñ pe zikr-e-bahār-e-chaman se kyā hogā
añdherī raat meñ rātoñ ko pūjne vaalo
ye dekhnā ki sahar kī kiran se kyā hogā
nigāh-e-vaqt baḌī be-niyāz hotī hai
jabīn-e-ġham-zada o pur-shikan se kyā hogā
adab ko chāhiye ḳhūn-e-dil-o-jigar 'saifī'
nagīna-sāzī-e-arbāb-e-fan se kyā hogā
nazar nahin to faqat bankpan se kya hoga
watan mein aaj purane chalan se kya hoga
baghair 'ishq kisi anjuman se kya hoga
fasurda-dil ko bahaar-e-chaman se kya hoga
abhi to 'ishq ko talwar bhi uThani hai
mahakti zulf gulabi badan se kya hoga
jidhar bhi dekhiye mansur o ibn-e-mariyam hain
kisi ke shewa-e-dar-o-rasan se kya hoga
yahi ki aur bhi ruswa karenge insan ko
mizaj-e-shaiKH-o-dil-e-barhaman se kya hoga
Tapak raha hai har ek phul ki jabin se lahu
zaban pe zikr-e-bahaar-e-chaman se kya hoga
andheri raat mein raaton ko pujne walo
ye dekhna ki sahar ki kiran se kya hoga
nigah-e-waqt baDi be-niyaz hoti hai
jabin-e-gham-zada o pur-shikan se kya hoga
adab ko chahiye KHun-e-dil-o-jigar 'saifi'
nagina-sazi-e-arbab-e-fan se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.