nazar nazar se mili dil pukar uTha ki nahin
nazar nazar se milī dil pukār uThā ki nahīñ
nahīñ ḳhabar mujhe us vaqt hosh thā ki nahīñ
phir ārzūoñ kī bastī meñ qāfile aa.e
dar-e-fusūn-e-tamannā abhī khulā ki nahīñ
na.e safar haiñ na.e rāh-rau na.ī rāheñ
na.e zamīn-o-zamāñ kī hai ibtidā ki nahīñ
tirī talāsh meñ ham ḳhud se āshnā na rahe
abhī huī hai mohabbat kī intihā ki nahīñ
tire visāl ke rastoñ meñ ham ḳhirad se mile
junūñ ne dil se kahā hai vahī fazā ki nahīñ
nazar nazar se mili dil pukar uTha ki nahin
nahin KHabar mujhe us waqt hosh tha ki nahin
phir aarzuon ki basti mein qafile aae
dar-e-fusun-e-tamanna abhi khula ki nahin
nae safar hain nae rah-rau nai rahen
nae zamin-o-zaman ki hai ibtida ki nahin
teri talash mein hum KHud se aashna na rahe
abhi hui hai mohabbat ki intiha ki nahin
tere visal ke raston mein hum KHirad se mile
junun ne dil se kaha hai wahi faza ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.