nazar ne zawiya gum kar diya hai
nazar ne zāviya gum kar diyā hai
ḳhud apnā aa.ina gum kar diyā hai
achānak ek tinke ne lapak kar
bhañvar kā dā.era gum kar diyā hai
varaq lahja badalte hī kisī ne
jamāl-e-vāqi.a gum kar diyā hai
parinde uḌ ga.e saare shajar se
zamīñ ne zā.iqa gum kar diyā hai
numūd-e-zāt par itrā rahā thā
havā ne bulbula gum kar diyā hai
faqat aañsū bahānā hai muqaddar
payām-e-sāneha gum kar diyā hai
laboñ kī be-sabab jumbish ne 'shāhīñ'
haqīqī hādisa gum kar diyā hai
nazar ne zawiya gum kar diya hai
KHud apna aaina gum kar diya hai
achanak ek tinke ne lapak kar
bhanwar ka daera gum kar diya hai
waraq lahja badalte hi kisi ne
jamal-e-waqia gum kar diya hai
parinde uD gae sare shajar se
zamin ne zaiqa gum kar diya hai
numud-e-zat par itra raha tha
hawa ne bulbula gum kar diya hai
faqat aansu bahana hai muqaddar
payam-e-saneha gum kar diya hai
labon ki be-sabab jumbish ne 'shahin'
haqiqi hadisa gum kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.