nazar nichi kiye guzre jahan se
nazar nīchī kiye guzre jahāñ se
kabhī pūchhā nahīñ kuchh āsmāñ se
guzar kar aa ga.e haiñ jism-o-jāñ se
hamārī guftugū hai raftagāñ se
jise karnā ho tark-e-bāda kar le
hameñ kahnā nahīñ kuchh be-dilāñ se
sag-e-duniyā haiñ lekin be-muhābā
ham uTh jā.eñge tere āstāñ se
mohabbat kī zabāñ hai sāf-o-sāda
use rishta nahīñ kuchh īn-o-āñ se
usī ayyār ke bahrūpiye sab
nikal kar aa ga.e haiñ dāstāñ se
havā-e-tund kyūñkar aa rahī hai
ye kaise aa rahī hai gulsitāñ se
sukūt-o-ḳhāmushī-o-sargirānī
yahī rishta hai merā jān-e-jāñ se
na hāzir hai na ġhā.eb hai kahāñ hai
pata pūchhā karo ab pāsbāñ se
kahāñ ho dafn poshīda kahāñ ho
ye ham pūchheñge 'mīr'-e-be-nishāñ se
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb karnā
koī kahtā 'anīs'-e-sar-garāñ se
nazar nichi kiye guzre jahan se
kabhi puchha nahin kuchh aasman se
guzar kar aa gae hain jism-o-jaan se
hamari guftugu hai raftagan se
jise karna ho tark-e-baada kar le
hamein kahna nahin kuchh be-dilan se
sag-e-duniya hain lekin be-muhaba
hum uTh jaenge tere aastan se
mohabbat ki zaban hai saf-o-sada
use rishta nahin kuchh in-o-an se
usi ayyar ke bahrupiye sab
nikal kar aa gae hain dastan se
hawa-e-tund kyunkar aa rahi hai
ye kaise aa rahi hai gulsitan se
sukut-o-KHamushi-o-sargirani
yahi rishta hai mera jaan-e-jaan se
na hazir hai na ghaeb hai kahan hai
pata puchha karo ab pasban se
kahan ho dafn poshida kahan ho
ye hum puchhenge 'mir'-e-be-nishan se
KHayal-e-KHatir-e-ahbab karna
koi kahta 'anis'-e-sar-garan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.