nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha
nazar nishāne pe thī tiir bhī kamān meñ thā
havā chalegī achānak kahāñ gumān meñ thā
mujhe bhī karnā vahī thā jo kar diyā us ne
pe ek ḳhauf-e-ḳhudā thā jo darmiyān meñ thā
zamīñ kā boyā bhī kyā āsmāñ pe kaTnā thā
kiye dhare kā natīja isī jahān meñ thā
hazār rang the jo dasht meñ bhaTakte the
aur ek lams baḌī der se machān meñ thā
maiñ ek umr falak par nazar jamā.e rahā
palaT ke dekhā to vo mere hī makān meñ thā
so ḳhāndān kī saarī duā.eñ merī thiiñ
duāoñ ke liye bas maiñ hī ḳhāndān meñ thā
hamārī umr thī 'sābir' dhuāñ uḌāne kī
ḳhabar nahīñ thī ki hāsil to ḳhāk-dān meñ thā
nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha
hawa chalegi achanak kahan guman mein tha
mujhe bhi karna wahi tha jo kar diya us ne
pe ek KHauf-e-KHuda tha jo darmiyan mein tha
zamin ka boya bhi kya aasman pe kaTna tha
kiye dhare ka natija isi jahan mein tha
hazar rang the jo dasht mein bhaTakte the
aur ek lams baDi der se machan mein tha
main ek umr falak par nazar jamae raha
palaT ke dekha to wo mere hi makan mein tha
so KHandan ki sari duaen meri thin
duaon ke liye bas main hi KHandan mein tha
hamari umr thi 'sabir' dhuan uDane ki
KHabar nahin thi ki hasil to KHak-dan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.