nazar se dur hai dil se qarib-tar hai koi
nazar se duur hai dil se qarīb-tar hai koī
to phir ye kaise kahūñ mujh se be-ḳhabar hai koī
ye ahd kaise karūñ tujh ko bhuul jā.ūñgā
kahāñ yaqīn dil-e-be-qarār par hai koī
bahut hasīn shab-e-intizār hai lekin
tumhī batāo ki is raat kī sahar hai koī
tire tasavvur-e-rangīñ meñ yuuñ nazar gum hai
maiñ ab vahāñ huuñ kise fursat-e-nazar hai koī
tirī talāsh meñ kyā jaane kis maqām pe huuñ
ki ab nigāh meñ manzil na rah-guzar hai koī
ye zindagī to koī zindagī nahīñ 'shabnam'
ye zindagī hai ki TuuTī huī sipar hai koī
nazar se dur hai dil se qarib-tar hai koi
to phir ye kaise kahun mujh se be-KHabar hai koi
ye ahd kaise karun tujh ko bhul jaunga
kahan yaqin dil-e-be-qarar par hai koi
bahut hasin shab-e-intizar hai lekin
tumhi batao ki is raat ki sahar hai koi
tere tasawwur-e-rangin mein yun nazar gum hai
main ab wahan hun kise fursat-e-nazar hai koi
teri talash mein kya jaane kis maqam pe hun
ki ab nigah mein manzil na rah-guzar hai koi
ye zindagi to koi zindagi nahin 'shabnam'
ye zindagi hai ki TuTi hui sipar hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.