nazar se dur haqiqat rahi kai barson
nazar se duur haqīqat rahī ka.ī barsoñ
hayāt ḳhvāb kī sūrat rahī ka.ī barsoñ
ye aur baat ki charchā mirī vafā kā huā
use bhī mujh se mohabbat rahī ka.ī barsoñ
ye ziist itnī bhī arzāñ na thī hamesha se
har ek saañs kī qīmat rahī ka.ī barsoñ
ye kah rahe haiñ dar-o-bām shahr ke saare
yahāñ ġhamoñ kī hukūmat rahī ka.ī barsoñ
bayān-e-ġham ke havāle se sarfarāz huuñ maiñ
ki sher-e-'mīr' se sohbat rahī ka.ī barsoñ
sitāra shaam kī dahlīz par utartā rahā
falak-nashīñ ko shikāyat rahī ka.ī barsoñ
nazar se dur haqiqat rahi kai barson
hayat KHwab ki surat rahi kai barson
ye aur baat ki charcha meri wafa ka hua
use bhi mujh se mohabbat rahi kai barson
ye zist itni bhi arzan na thi hamesha se
har ek sans ki qimat rahi kai barson
ye kah rahe hain dar-o-baam shahr ke sare
yahan ghamon ki hukumat rahi kai barson
bayan-e-gham ke hawale se sarfaraaz hun main
ki sher-e-'mir' se sohbat rahi kai barson
sitara sham ki dahliz par utarta raha
falak-nashin ko shikayat rahi kai barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.