nazar se jis ki ab mastur hun main
nazar se jis kī ab mastūr huuñ maiñ
usī kī yaad se ma.amūr huuñ maiñ
chaTānoñ kī tarah madd-e-muqābil
magar andar se chaknā-chūr huuñ maiñ
shab-e-zulmat nahīñ havvā kī beTī
ujālā huuñ sahar kā nuur huuñ maiñ
mohabbat kā taqāza hai muravvat
samajhnā ye nahīñ majbūr huuñ maiñ
vafā kā pyaar kā paikar huuñ lekin
jo ho sayyād to zambūr huuñ maiñ
havā le kar uḌī hai zard patte
chaman meñ nargis-e-ranjūr huuñ maiñ
nishāñ us kī jabīñ kā kah rahā hai
tajallī se jalā huuñ tuur huuñ maiñ
'anā' TuuTī faqat rusvā.iyoñ se
ḳhushāmad se to kosoñ duur huuñ maiñ
nazar se jis ki ab mastur hun main
usi ki yaad se mamur hun main
chaTanon ki tarah madd-e-muqabil
magar andar se chakna-chur hun main
shab-e-zulmat nahin hawwa ki beTi
ujala hun sahar ka nur hun main
mohabbat ka taqaza hai murawwat
samajhna ye nahin majbur hun main
wafa ka pyar ka paikar hun lekin
jo ho sayyaad to zambur hun main
hawa le kar uDi hai zard patte
chaman mein nargis-e-ranjur hun main
nishan us ki jabin ka kah raha hai
tajalli se jala hun tur hun main
'ana' TuTi faqat ruswaiyon se
KHushamad se to koson dur hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.