nazar se pine pilane ki raat aai hai
nazar se piine pilāne kī raat aa.ī hai
diloñ kī pyaas bujhāne kī raat aa.ī hai
ġhamoñ kā daur huā ḳhatm poñchh lo aañsū
hañso ki hañsne hañsāne kī raat aa.ī hai
tamām zindagī jo ban ke yādgār rahe
ik aisā jashn manāne kī raat aa.ī hai
falak ke chāñd sitāre haiñ sahme sahme se
naqāb ruḳh se uThāne kī raat aa.ī hai
javāñ javāñ haiñ nazāre hasīñ hasīñ hai samāñ
ki chāñdnī meñ nahāne kī raat aa.ī hai
añdhere ab na raheñge hamārī duniyā meñ
na.e charāġh jalāne kī raat aa.ī hai
fazā meñ aaj tarannum sā ghul rahā hai 'nasīm'
ġhazal ke sher sunāne kī raat aa.ī hai
nazar se pine pilane ki raat aai hai
dilon ki pyas bujhane ki raat aai hai
ghamon ka daur hua KHatm ponchh lo aansu
hanso ki hansne hansane ki raat aai hai
tamam zindagi jo ban ke yaadgar rahe
ek aisa jashn manane ki raat aai hai
falak ke chand sitare hain sahme sahme se
naqab ruKH se uThane ki raat aai hai
jawan jawan hain nazare hasin hasin hai saman
ki chandni mein nahane ki raat aai hai
andhere ab na rahenge hamari duniya mein
nae charagh jalane ki raat aai hai
faza mein aaj tarannum sa ghul raha hai 'nasim'
ghazal ke sher sunane ki raat aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.