nazar shaista-e-gham ho rahi hai
nazar shā.ista-e-ġham ho rahī hai
magar pahchān apnī kho rahī hai
firāq-e-dost kī ye āḳhirī shab
na jaane kab kī nīñdeñ so rahī hai
jise gustāḳh ho jaanā ravā thā
vo aañkh ab tak qasīda-go rahī hai
baḌī jokhim hai thoḌā fāsla bhī
masāfat jāñ-ba-jāñ tai ho rahī hai
ye saarā tajziya ye bahs-o-takrār
havas pushtāre kyā kyā Dho rahī hai
yahāñ se uTh ke jaanā sāneha thā
yahāñ aa kar bhī vahshat ho rahī hai
zamistāñ hai tirī yādoñ kā mausam
bahut masrūfiyat ham ko rahī hai
lapeTe uzr meñ apne mah-o-sāl
ga.e mausam kī chāhat so rahī hai
tire ġham se ki hai ab yuuñ gurezāñ
hamārī vāqafiyyat to rahī hai
jahāñ mīloñ nahīñ koī paḌosī
ḳhizāñ kyuuñ kisht-e-lāla bo rahī hai
sar-e-āb-e-ravāñ bad-ehtiyātī
dhule dhabboñ ko phir se dho rahī hai
akele the to jī lagtā nahīñ thā
magar ab shaam rusvā ho rahī hai
hilā kar shor-e-girya se zamīñ ko
pas-e-dīvār ḳhilqat so rahī hai
badal kar rang-e-ruḳh 'shāhīn' apnā
ye shab be-māya kitnī ho rahī hai
nazar shaista-e-gham ho rahi hai
magar pahchan apni kho rahi hai
firaq-e-dost ki ye aaKHiri shab
na jaane kab ki ninden so rahi hai
jise gustaKH ho jaana rawa tha
wo aankh ab tak qasida-go rahi hai
baDi jokhim hai thoDa fasla bhi
masafat jaan-ba-jaan tai ho rahi hai
ye sara tajziya ye bahs-o-takrar
hawas pushtare kya kya Dho rahi hai
yahan se uTh ke jaana saneha tha
yahan aa kar bhi wahshat ho rahi hai
zamistan hai teri yaadon ka mausam
bahut masrufiyat hum ko rahi hai
lapeTe uzr mein apne mah-o-sal
gae mausam ki chahat so rahi hai
tere gham se ki hai ab yun gurezan
hamari waqafiyyat to rahi hai
jahan milon nahin koi paDosi
KHizan kyun kisht-e-lala bo rahi hai
sar-e-ab-e-rawan bad-ehtiyati
dhule dhabbon ko phir se dho rahi hai
akele the to ji lagta nahin tha
magar ab sham ruswa ho rahi hai
hila kar shor-e-girya se zamin ko
pas-e-diwar KHilqat so rahi hai
badal kar rang-e-ruKH 'shahin' apna
ye shab be-maya kitni ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.