nazar tasawwur-e-hasti ko DhunDhti hai abhi
nazar tasavvur-e-hastī ko DhūñDhtī hai abhī
vo bāzgasht jo sahrā meñ gūñjtī hai abhī
na jaane kis ko sitāroñ se aisī nisbat hai
ki bujh ga.e haiñ diye phir bhī raushnī hai abhī
bhaTak rahī hai ḳhalāoñ kī vus'atoñ meñ abhī
vo ik sadā-e-qalandar jo an-kahī hai abhī
hazār shukr sajāyā hai maiñ ne guldasta
hazār shukr bahāroñ se dostī hai abhī
abhī to tark-e-ta'alluq kī rasm hai baaqī
ki guftugū bhī ishāroñ meñ ho rahī hai abhī
savāl ye hai sharāra na ban sakā sho'la
javāb ye hai ki jazbe meñ kuchh kamī hai abhī
kisī ke zikr se māhaul gungunāne lage
kisī kī yaad meñ is darja tāzgī hai abhī
nazar tasawwur-e-hasti ko DhunDhti hai abhi
wo bazgasht jo sahra mein gunjti hai abhi
na jaane kis ko sitaron se aisi nisbat hai
ki bujh gae hain diye phir bhi raushni hai abhi
bhaTak rahi hai KHalaon ki wus'aton mein abhi
wo ek sada-e-qalandar jo an-kahi hai abhi
hazar shukr sajaya hai main ne guldasta
hazar shukr bahaaron se dosti hai abhi
abhi to tark-e-ta'alluq ki rasm hai baqi
ki guftugu bhi ishaaron mein ho rahi hai abhi
sawal ye hai sharara na ban saka sho'la
jawab ye hai ki jazbe mein kuchh kami hai abhi
kisi ke zikr se mahaul gungunane lage
kisi ki yaad mein is darja tazgi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.