nazar udas nazare KHamosh dil bezar
nazar udaas nazāre ḳhamosh dil bezār
junūn-e-shauq ye manzil hai yā ki rahguzār
na josh-e-ātish-e-gul hai na ḳhauf-e-barq-o-sharar
na.ī na.ī sī asīrī na.ī na.ī sī bahār
zarā sī baat banī ik fasāna āḳhir-e-kār
merī nigāh kī shoḳhī tirī nazar kā ḳhumār
ġham-e-hayāt ke maare abhī to so.e haiñ
abhī na de ai nasīm-e-sahar naved-e-bahār
ġham-e-jahān ġham-e-justujū ġham-e-jānāñ
kahāñ kahāñ na milā ik shikasta dil ko qarār
tirī hī yaad sahārā diye rahī varna
kahāñ guzarte haiñ tanhā.iyoñ meñ lail-o-nahār
tire baġhair añdheroñ meñ kho ga.e jalve
tirī nazar se farozāñ the aarzū ke dayār
na intizār-e-sahar ab hai aur na va.ada-e-shām
ki rah gayā hai ḳhalāoñ pe zindagī kā madār
na pūchh kaisā ye aalam huā hai vahshat meñ
guloñ kī aañch se bujhne lage haiñ dil ke sharār
nazar udas nazare KHamosh dil bezar
junun-e-shauq ye manzil hai ya ki rahguzar
na josh-e-atish-e-gul hai na KHauf-e-barq-o-sharar
nai nai si asiri nai nai si bahaar
zara si baat bani ek fasana aaKHir-e-kar
meri nigah ki shoKHi teri nazar ka KHumar
gham-e-hayat ke mare abhi to soe hain
abhi na de ai nasim-e-sahar nawed-e-bahaar
gham-e-jahan gham-e-justuju gham-e-jaanan
kahan kahan na mila ek shikasta dil ko qarar
teri hi yaad sahaara diye rahi warna
kahan guzarte hain tanhaiyon mein lail-o-nahaar
tere baghair andheron mein kho gae jalwe
teri nazar se farozan the aarzu ke dayar
na intizar-e-sahar ab hai aur na wada-e-sham
ki rah gaya hai KHalaon pe zindagi ka madar
na puchh kaisa ye aalam hua hai wahshat mein
gulon ki aanch se bujhne lage hain dil ke sharar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.