nazir kah ki na kah be-nazir kitna hun
'nazīr' kah ki na kah be-nazīr kitnā huuñ
misāl de ki maiñ raushan-zamīr kitnā huuñ
tū merī vaz.a-e-faqīrī pe unglī na uThā
baġhair samjhe ki dil kā amiir kitnā huuñ
parakh sakeñ na mujhe jauharī nigāheñ bhī
maiñ ūñchī zaat kā hiirā haqīr kitnā huuñ
kamān khīñch ke baiThā huuñ aaj lafzoñ kī
vo jaan jā.egā dil kā sharīr kitnā huuñ
chhuḌā sakā na ġham-e-dahr se kisī ko hanūz
maiñ apnī zaat ke ġham meñ asiir kitnā huuñ
mirī hayāt kā nauha bhī kyā ḳhabar degā
hisār-e-karb-o-balā meñ asiir kitnā huuñ
panāh-gāh-e-sukūñ DhūñDhtā huuñ gām-ba-gām
azāb-e-zīst meñ lipTā 'nazīr' kitnā huuñ
'nazir' kah ki na kah be-nazir kitna hun
misal de ki main raushan-zamir kitna hun
tu meri waza-e-faqiri pe ungli na uTha
baghair samjhe ki dil ka amir kitna hun
parakh saken na mujhe jauhari nigahen bhi
main unchi zat ka hira haqir kitna hun
kaman khinch ke baiTha hun aaj lafzon ki
wo jaan jaega dil ka sharir kitna hun
chhuDa saka na gham-e-dahr se kisi ko hanuz
main apni zat ke gham mein asir kitna hun
meri hayat ka nauha bhi kya KHabar dega
hisar-e-karb-o-bala mein asir kitna hun
panah-gah-e-sukun DhunDhta hun gam-ba-gam
azab-e-zist mein lipTa 'nazir' kitna hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.