nazm-e-gulshan mein ek andaz naya rakhte hain
nazm-e-gulshan meñ ik andāz nayā rakhte haiñ
ya.anī ham phūloñ ko kāñToñ se milā rakhte haiñ
aag lag jaa.e na shīshe ke mahal meñ yaaro
ham sar-e-shām charāġhoñ ko bujhā rakhte haiñ
koī tohfa liye ahbāb na ghar tak pahuñche
kyūñki ham kāñdhe pe ġhurbat kī ridā rakhte haiñ
fat.h-o-nusrat unhīñ logoñ ke muqaddar meñ hai
saath jo mādar-e-mushfiq kī duā rakhte haiñ
roz bahtā hai yahāñ ḳhuun kā dariyā 'shamsī'
ham darinde to nahīñ ḳhauf-e-ḳhudā rakhte haiñ
nazm-e-gulshan mein ek andaz naya rakhte hain
yani hum phulon ko kanTon se mila rakhte hain
aag lag jae na shishe ke mahal mein yaro
hum sar-e-sham charaghon ko bujha rakhte hain
koi tohfa liye ahbab na ghar tak pahunche
kyunki hum kandhe pe ghurbat ki rida rakhte hain
fath-o-nusrat unhin logon ke muqaddar mein hai
sath jo madar-e-mushfiq ki dua rakhte hain
roz bahta hai yahan KHun ka dariya 'shamsi'
hum darinde to nahin KHauf-e-KHuda rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.