nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum
nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
nazm-e-hāzir kā badaltā huā andāz haiñ ham
ġhaur se sun ki na.e daur kī āvāz haiñ ham
jaane kab pahuñchegī anjām ko tahzīb-e-bashar
baad sadiyoñ ke bhī āġhāz hī āġhāz haiñ ham
bajtī rahtī hai na.e giit kī sargam dil meñ
be-navā.ī meñ bhī bajtā huā ik saaz haiñ ham
hadiya-e-gosh-e-samā.at hī koī pesh kare
karb-e-taḳhlīq meñ Duubī huī āvāz haiñ ham
dahr ke dil meñ utartā hai jo nashtar kī tarah
lab-e-fitrat kā vahī naġhma-e-e.ajāz haiñ ham
rāt-din khulte haiñ asrār-e-do-ālam ham se
apne aalam meñ magar aaj bhī ik 'rāz' haiñ ham
nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum
ghaur se sun ki nae daur ki aawaz hain hum
jaane kab pahunchegi anjam ko tahzib-e-bashar
baad sadiyon ke bhi aaghaz hi aaghaz hain hum
bajti rahti hai nae git ki sargam dil mein
be-nawai mein bhi bajta hua ek saz hain hum
hadiya-e-gosh-e-samaat hi koi pesh kare
karb-e-taKHliq mein Dubi hui aawaz hain hum
dahr ke dil mein utarta hai jo nashtar ki tarah
lab-e-fitrat ka wahi naghma-e-eajaz hain hum
raat-din khulte hain asrar-e-do-alam hum se
apne aalam mein magar aaj bhi ek 'raaz' hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.