nazm-e-mai-KHana pe aa jae na ilzam kahin
nazm-e-mai-KHana pe aa jae na ilzam kahin
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
nazm-e-mai-ḳhāna pe aa jaa.e na ilzām kahīñ
aaj saaqī hai kahīñ rind kahīñ jaam kahīñ
ahl-e-ulfat bhī huā karte haiñ nākām kahīñ
un kā āġhāz kahīñ hotā hai anjām kahīñ
apnī barbādī-e-paiham kā nahīñ mujh ko malāl
Dar ye hai aap pe aa jaa.e na ilzām kahīñ
kaash itnā to koī ahl-e-havas se pūchhe
tum ko duniyā meñ mayassar bhī hai ārām kahīñ
phir na baaqī rahe duniyā meñ añdheroñ kā vajūd
aa ke parda jo uThā deñ vo sar-e-bām kahīñ
chāñd tāroñ meñ kahīñ kī hai tajallī kī talāsh
pattharoñ se bhī tarāshe ga.e asnām kahīñ
zindagī meñ na koī lutf rahegā baaqī
miT ga.ī 'dard' agar gardish-e-ayyām kahīñ
nazm-e-mai-KHana pe aa jae na ilzam kahin
aaj saqi hai kahin rind kahin jam kahin
ahl-e-ulfat bhi hua karte hain nakaam kahin
un ka aaghaz kahin hota hai anjam kahin
apni barbaadi-e-paiham ka nahin mujh ko malal
Dar ye hai aap pe aa jae na ilzam kahin
kash itna to koi ahl-e-hawas se puchhe
tum ko duniya mein mayassar bhi hai aaram kahin
phir na baqi rahe duniya mein andheron ka wajud
aa ke parda jo uTha den wo sar-e-baam kahin
chand taron mein kahin ki hai tajalli ki talash
pattharon se bhi tarashe gae asnam kahin
zindagi mein na koi lutf rahega baqi
miT gai 'dard' agar gardish-e-ayyam kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.