nazm mein utrega dil ka dard sara aaj phir
nazm meñ utregā dil kā dard saarā aaj phir
dhul ke nikhregā nayā ik isti.ārā aaj phir
jin kī tahrīroñ ne qismat kī lakīreñ kaaT diiñ
kar rahā huuñ un ḳhatoñ se istiḳhārā aaj phir
ishq ke sūd-o-ziyāñ meñ zehn-o-dil uljhe rahe
aur dil ne kar liyā apnā ḳhasārā aaj phir
aaj phir maiñ āsmāñ ko rāt-bhar taktā rahā
rāt-bhar TuuTā nahīñ koī sitārā aaj phir
phir khulī palkoñ ke aage ḳhvāb mañDrāte rahe
kar ga.ī hai niiñd āñkhoñ se kinārā aaj phir
ek tanhā dil aur us par roz roz aise azaab
kal kā din bhī dard-e-furqat meñ guzārā aaj phir
nazm mein utrega dil ka dard sara aaj phir
dhul ke nikhrega naya ek istiara aaj phir
jin ki tahriron ne qismat ki lakiren kaT din
kar raha hun un KHaton se istiKHara aaj phir
ishq ke sud-o-ziyan mein zehn-o-dil uljhe rahe
aur dil ne kar liya apna KHasara aaj phir
aaj phir main aasman ko raat-bhar takta raha
raat-bhar TuTa nahin koi sitara aaj phir
phir khuli palkon ke aage KHwab manDraate rahe
kar gai hai nind aankhon se kinara aaj phir
ek tanha dil aur us par roz roz aise azab
kal ka din bhi dard-e-furqat mein guzara aaj phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.