nazren bhi un se milti hain aapas mein ishaare hote hain
nazren bhi un se milti hain aapas mein ishaare hote hain
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
nazreñ bhī un se miltī haiñ aapas meñ ishāre hote haiñ
kal tak jo kisī ke ho nā sake vo aaj hamāre hote haiñ
allah re fareb-e-zauq-e-nazar aise bhī nazāre hote haiñ
jhaḌte haiñ sharāroñ se gul bhī gul meñ bhī sharāre hote haiñ
in halkī halkī maujoñ meñ Duubā hai safīna kyā kahiye
taqdīr kī bāteñ haiñ varna tinke bhī sahāre hote haiñ
ummīd sahāre kī un se ai Dūbne vaale tauba kar
ye sirf tamāshā.ī saare dariyā ke kināre hote haiñ
bīmār-e-shab-e-furqat kī hañsī āḳhir ye uḌā.eñge kab tak
hone de tabassum-rez agar ye chāñd sitāre hote haiñ
ye lāla-o-gul ye shams-o-qamar ye naqsh 'musavvir' ye manzar
ik sho.ala-e-tūr-e-sīnā ke ye saare sharāre hote haiñ
nazren bhi un se milti hain aapas mein ishaare hote hain
kal tak jo kisi ke ho na sake wo aaj hamare hote hain
allah re fareb-e-zauq-e-nazar aise bhi nazare hote hain
jhaDte hain shararon se gul bhi gul mein bhi sharare hote hain
in halki halki maujon mein Duba hai safina kya kahiye
taqdir ki baaten hain warna tinke bhi sahaare hote hain
ummid sahaare ki un se ai Dubne wale tauba kar
ye sirf tamashai sare dariya ke kinare hote hain
bimar-e-shab-e-furqat ki hansi aaKHir ye uDaenge kab tak
hone de tabassum-rez agar ye chand sitare hote hain
ye lala-o-gul ye shams-o-qamar ye naqsh 'musawwir' ye manzar
ek shoala-e-tur-e-sina ke ye sare sharare hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.