nazren jo us tannaz ki hum par Thahar gain
nazreñ jo us tannāz kī ham par Thahar ga.iiñ
kaliyāñ hamāre haath se do chaar gir ga.iiñ
marne ke baa'd aur bhī kuchh sānahe hue
saḌkeñ mirī aziiz kitāboñ se bhar ga.iiñ
kuchh gir paḌe zamīn pe kuchh nīm-jāñ hue
āñkheñ hamāre yaar kī kyā kyā na kar ga.iiñ
laa.ī hai aise moḌ pa ye zindagī hameñ
jaane hazāroñ ḳhvāhisheñ rāhoñ meñ mar ga.iiñ
us shoḳh dil-fareb kī āñkheñ bhī haiñ fareb
ghāyal diloñ meñ Duub ke kis kis ke ghar ga.iiñ
jaise hī paa.eñ baaġh meñ us ne kiyā ḳhirām
bechain titliyāñ bhī idhar se udhar ga.iiñ
'barham' rumūz-e-ishq na ham par kabhī khule
kyā kyā qayāmateñ thiiñ jo dil par guzar ga.iiñ
nazren jo us tannaz ki hum par Thahar gain
kaliyan hamare hath se do chaar gir gain
marne ke ba'd aur bhi kuchh sanahe hue
saDken meri aziz kitabon se bhar gain
kuchh gir paDe zamin pe kuchh nim-jaan hue
aankhen hamare yar ki kya kya na kar gain
lai hai aise moD pa ye zindagi hamein
jaane hazaron KHwahishen rahon mein mar gain
us shoKH dil-fareb ki aankhen bhi hain fareb
ghayal dilon mein Dub ke kis kis ke ghar gain
jaise hi paen bagh mein us ne kiya KHiram
bechain titliyan bhi idhar se udhar gain
'barham' rumuz-e-ishq na hum par kabhi khule
kya kya qayamaten thin jo dil par guzar gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.