nazron mein kis hasin ka chehra hai aaj-kal
nazron mein kis hasin ka chehra hai aaj-kal
Mohammad Ghulam Nurani
MORE BYMohammad Ghulam Nurani
nazroñ meñ kis hasīn kā chehra hai āj-kal
dil ḳhud-baḳhud hī mā.il-e-sajda hai āj-kal
miltā nahīñ kisī se hamārā mizāj ab
gardish meñ apne baḳht kā taarā hai āj-kal
ik musht-e-ḳhāk meñ hai nihāñ rāz-e-kun-fakāñ
qatra bhī apne aap meñ dariyā hai āj-kal
vā'iz Darā rahā hai hameñ vo bhī daar se
qātil hī kā hameñ to sahārā hai āj-kal
dikhtā hai har kisī ko magar dekhtā nahīñ
jis ko bhī dekhiye vahī andhā hai āj-kal
lailā-o-qais kī koī kyoñ dāstāñ sune
'jauhar' ke shor-e-‘ishq kā charchā hai āj-kal
nazron mein kis hasin ka chehra hai aaj-kal
dil KHud-baKHud hi mail-e-sajda hai aaj-kal
milta nahin kisi se hamara mizaj ab
gardish mein apne baKHt ka tara hai aaj-kal
ek musht-e-KHak mein hai nihan raaz-e-kun-fakan
qatra bhi apne aap mein dariya hai aaj-kal
wa'iz Dara raha hai hamein wo bhi dar se
qatil hi ka hamein to sahaara hai aaj-kal
dikhta hai har kisi ko magar dekhta nahin
jis ko bhi dekhiye wahi andha hai aaj-kal
laila-o-qais ki koi kyon dastan sune
'jauhar' ke shor-e-‘ishq ka charcha hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.