nazron mein samaya hai ek jalwa-e-jaanana
nazroñ meñ samāyā hai ik jalva-e-jānāna
ab donoñ barābar haiñ ka.aba ho ki but-ḳhāna
andāz-e-junūñ merā aisā hai hakīmāna
farzānoñ meñ farzāna dīvānoñ meñ dīvāna
vaa.iz ne nahīñ kholā ik rāz-e-haqīqat bhī
bas bāteñ hī bāteñ haiñ afsāna hī afsāna
ye sūrat-e-nāz achchhī ye rasm-e-niyāz achchhī
husn apnoñ se begāna ishq aap se begāna
vo rind-e-azal huuñ maiñ saaqī kī nigāhoñ meñ
sad jān-e-adab merī ik laġhzish-e-mastāna
rahtī hai mudām ulTī rindān-e-qadah-kash se
aflāk kī gardish ho yā gardish-e-paimāna
vaa.iz ko shikāyat kyoñ vaa.iz kī shikāyat kyā
maiñ hosh se begāna ye aql se begāna
hangāma havas kā ho yā ishq ko shorish ho
ik dil hī pe mabnī hai kaunain kā afsāna
ye soz mire dil kā kab us ko mayassar thā
jaltī huī kyā rahtī ḳhākistar-e-parvāna
thā hosh ke dam tak hī har shikva-e-be-mehrī
ab tum se kahegā kyā dil aap se begāna
paḌtī hai nazar mujh par ab shaiḳh-e-haram kī bhī
tujh se vo irādat hai ai murshid-e-mai-ḳhāna
pindār-shikan mastī saaqī se milī varna
mai-ḳhāna hilā detī ik jur.at-e-rindāna
is rāh-e-mohabbat meñ kuchh pesh nahīñ chaltī
'shākir' vo kahāñ apnī ab himmat-e-mardāna
nazron mein samaya hai ek jalwa-e-jaanana
ab donon barabar hain kaba ho ki but-KHana
andaz-e-junun mera aisa hai hakimana
farzanon mein farzana diwanon mein diwana
waiz ne nahin khola ek raaz-e-haqiqat bhi
bas baaten hi baaten hain afsana hi afsana
ye surat-e-naz achchhi ye rasm-e-niyaz achchhi
husn apnon se begana ishq aap se begana
wo rind-e-azal hun main saqi ki nigahon mein
sad jaan-e-adab meri ek laghzish-e-mastana
rahti hai mudam ulTi rindan-e-qadah-kash se
aflak ki gardish ho ya gardish-e-paimana
waiz ko shikayat kyon waiz ki shikayat kya
main hosh se begana ye aql se begana
hangama hawas ka ho ya ishq ko shorish ho
ek dil hi pe mabni hai kaunain ka afsana
ye soz mere dil ka kab us ko mayassar tha
jalti hui kya rahti KHakistar-e-parwana
tha hosh ke dam tak hi har shikwa-e-be-mehri
ab tum se kahega kya dil aap se begana
paDti hai nazar mujh par ab shaiKH-e-haram ki bhi
tujh se wo iradat hai ai murshid-e-mai-KHana
pindar-shikan masti saqi se mili warna
mai-KHana hila deti ek jurat-e-rindana
is rah-e-mohabbat mein kuchh pesh nahin chalti
'shakir' wo kahan apni ab himmat-e-mardana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.