Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazron se gulon ki nau-nihaalo

Shad Lakhnavi

nazron se gulon ki nau-nihaalo

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    nazroñ se guloñ nau-nihālo

    shabnam tarah girā sañbhālo

    maano rah-e-sarkashī nikālo

    pagḌī mah-o-mehr uchhālo

    sayyād ḳhafā hai bulbul-o-kabk

    ḳhāmosh raho na bolo-chālo

    asnām meñ shān-e-haq 'ayāñ hai

    āñkheñ haiñ to un ko dekho-bhālo

    Thahro koī dam ke mehmān haiñ

    chalte to haiñ ham bhī chalne vaalo

    mushtāq-laqā hai ik ḳhudā.ī

    ab va.ada hashr par na Taalo

    jhūTe vo tum ai gulo ho barsoñ

    be-dūdh jo tifl-e-ġhuncha lo

    chhalnī yūñhī dil hai nīsh-e-ġham se

    mizhgāñ na barchhiyāñ sañbhālo

    holī na.e qumqumoñ se khelo

    par ḳhūn-e-dil-e-āshiqāñ uchhālo

    maarā jo 'shād' ko hasīno

    ḳhātir se ġhubār to nikālo

    nazron se gulon ki nau-nihaalo

    shabnam ki tarah gira sanbhaalo

    mano rah-e-sarkashi nikalo

    pagDi mah-o-mehr ki uchhaalo

    sayyaad KHafa hai bulbul-o-kabk

    KHamosh raho na bolo-chaalo

    asnam mein shan-e-haq 'ayan hai

    aankhen hain to un ko dekho-bhaalo

    Thahro koi dam ke mehman hain

    chalte to hain hum bhi chalne walo

    mushtaq-laqa hai ek KHudai

    ab wada hashr par na Talo

    jhuTe wo tum ai gulo ho barson

    be-dudh jo tifl-e-ghuncha pa lo

    chhalni yunhi dil hai nish-e-gham se

    mizhgan ki na barchhiyan sanbhaalo

    holi nae qumqumon se khelo

    par KHun-e-dil-e-ashiqan uchhaalo

    mara hi jo 'shad' ko hasino

    KHatir se ghubar to nikalo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now