nazzara-e-dilkash kabhi dekha hi nahin hai
nazzāra-e-dilkash kabhī dekhā hī nahīñ hai
āñkhoñ meñ koī aks utartā hī nahīñ hai
hairat hai ki tum par vo ayaañ ho gayā kaise
qissa jo kabhī ham ne sunāyā hī nahīñ hai
sau baar bahāroñ ne kiyā ruḳh mirī jānib
mausam ye mire dil kā badaltā hī nahīñ hai
kaise ho parakh ek kahānī se kisī kī
kirdār kahānī meñ simaTtā hī nahīñ hai
Dhalnā hai jise qaus-e-quzah meñ vo kiran huuñ
Dar apne bikhar jaane kā lagtā hī nahīñ hai
vo chāñd taġhayyur se kabhī baaz na aaya
tārīkī-e-shab kī use parvā hī nahīñ hai
nazzara-e-dilkash kabhi dekha hi nahin hai
aankhon mein koi aks utarta hi nahin hai
hairat hai ki tum par wo ayan ho gaya kaise
qissa jo kabhi hum ne sunaya hi nahin hai
sau bar bahaaron ne kiya ruKH meri jaanib
mausam ye mere dil ka badalta hi nahin hai
kaise ho parakh ek kahani se kisi ki
kirdar kahani mein simaTta hi nahin hai
Dhalna hai jise qaus-e-quzah mein wo kiran hun
Dar apne bikhar jaane ka lagta hi nahin hai
wo chand taghayyur se kabhi baz na aaya
tariki-e-shab ki use parwa hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.