ne fiqh na mantiq ne hikmat ka risala hai
ne fiqh na mantiq ne hikmat kā risāla hai
is fann-e-mohabbat kā nusḳha hī nirālā hai
ḳhatra hai mujhe ab to chup rahne se bhī apne
kyā hai ki na sozish hai vo aah na naala hai
dil hī na khule apnā to kījiye kyā varna
sabza hai gulistāñ hai gulzār hai laala hai
kyūñkar na samar laave shāḳh-e-mizha laḳht-e-dil
sau ḳhūn-e-jigar se maiñ is tiir ko paalā hai
hai dil meñ to vo lekin dikhlā.ī nahīñ detā
bāhar to añdherā hai aur ghar meñ ujālā hai
tājīl na kar ai dil aane to lagā hai vo
mil jā.egā bosa bhī kyā muñh kā nivāla hai
kaifiyyat-e-mai-ḳhāna bas dekh le ab kyā hai
saaqī hai na sahbā hai shīsha hai na pyāla hai
ye chaal agar hai to rahne kā nahīñ ab dil
be-tarah se us ne to kuchh paañv nikālā hai
tū hotā to kyā hotā kal naam tirā lete
gulshan meñ 'hasan' ko maiñ girne se sambhālā hai
ne fiqh na mantiq ne hikmat ka risala hai
is fann-e-mohabbat ka nusKHa hi nirala hai
KHatra hai mujhe ab to chup rahne se bhi apne
kya hai ki na sozish hai wo aah na nala hai
dil hi na khule apna to kijiye kya warna
sabza hai gulistan hai gulzar hai lala hai
kyunkar na samar lawe shaKH-e-mizha laKHt-e-dil
sau KHun-e-jigar se main is tir ko pala hai
hai dil mein to wo lekin dikhlai nahin deta
bahar to andhera hai aur ghar mein ujala hai
tajil na kar ai dil aane to laga hai wo
mil jaega bosa bhi kya munh ka niwala hai
kaifiyyat-e-mai-KHana bas dekh le ab kya hai
saqi hai na sahba hai shisha hai na pyala hai
ye chaal agar hai to rahne ka nahin ab dil
be-tarah se us ne to kuchh panw nikala hai
tu hota to kya hota kal nam tera lete
gulshan mein 'hasan' ko main girne se sambhaala hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.