Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

neze ki bulandi pe hai sar KHam to nahin hai

Shareef Ahmad Qureshi

neze ki bulandi pe hai sar KHam to nahin hai

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    neze bulandī pe hai sar ḳham to nahīñ hai

    ye shaan ye tauqīr bhī kuchh kam to nahīñ hai

    shab bhar koī royā hai sar-e-fasl-e-bahārāñ

    ye barg-e-gul-o-lāla pe shabnam to nahīñ hai

    sad shukr ki khil uTThe mire zaḳhm-e-jigar aur

    ye tanziya pursish tirī marham to nahīñ hai

    ab bhī vahī duniyā hai manāzir bhī vahī haiñ

    dil magar ab pahle aalam to nahīñ hai

    ya.anī ki abhī ḳham nahīñ sar pesh-e-salāsil

    naġhmāt lai ūñchī hai maddham to nahīñ hai

    barsoñ use sīñchā hai lahū de ke kisī ne

    gulshan ye miTTī bhī yuuñ nam to nahīñ hai

    gar zād-e-safar azm-e-javāñ ho to 'sharīf' aaj

    hai ziist jo do din to kuchh kam to nahīñ hai

    neze ki bulandi pe hai sar KHam to nahin hai

    ye shan ye tauqir bhi kuchh kam to nahin hai

    shab bhar koi roya hai sar-e-fasl-e-bahaaran

    ye barg-e-gul-o-lala pe shabnam to nahin hai

    sad shukr ki khil uTThe mere zaKHm-e-jigar aur

    ye tanziya pursish teri marham to nahin hai

    ab bhi wahi duniya hai manazir bhi wahi hain

    dil ka magar ab pahle sa aalam to nahin hai

    yani ki abhi KHam nahin sar pesh-e-salasil

    naghmat ki lai unchi hai maddham to nahin hai

    barson use sincha hai lahu de ke kisi ne

    gulshan ki ye miTTi bhi yun hi nam to nahin hai

    gar zad-e-safar azm-e-jawan ho to 'sharif' aaj

    hai zist jo do din ki to kuchh kam to nahin hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now