nibhana gar hua mushkil marasim toDna achchha
nibhana gar hua mushkil marasim toDna achchha
Zakir Husain Halsangi
MORE BYZakir Husain Halsangi
nibhānā gar huā mushkil marāsim toḌnā achchhā
bahāne chal nahīñ sakte vahāñ sach bolnā achchhā
umīd-e-qatl kar ke yuuñ tumheñ kyā mil gayā āḳhir
kabhī ehsās ko thoḌā jagā kar sochnā achchhā
shikāyat kuchh nahīñ mujh ko sabhī ḳhushiyāñ tumhārī haiñ
mire hisse ke saare dard mujh ko sauñpnā achchhā
pahuñch kar manziloñ par bhī agar hāsil nahīñ kuchh bhī
samajh meñ ye jo aa jaa.e safar ko roknā achchhā
uḌānoñ kī mashaqqat se zarā pahle suno 'zākir'
bulandī naap kar hī to paroñ ko kholnā achchhā
nibhana gar hua mushkil marasim toDna achchha
bahane chal nahin sakte wahan sach bolna achchha
umid-e-qatl kar ke yun tumhein kya mil gaya aaKHir
kabhi ehsas ko thoDa jaga kar sochna achchha
shikayat kuchh nahin mujh ko sabhi KHushiyan tumhaari hain
mere hisse ke sare dard mujh ko saunpna achchha
pahunch kar manzilon par bhi agar hasil nahin kuchh bhi
samajh mein ye jo aa jae safar ko rokna achchha
uDanon ki mashaqqat se zara pahle suno 'zakir'
bulandi nap kar hi to paron ko kholna achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.