nibhaya ishq ne rishta jo pyas pani ka
nibhāyā ishq ne rishta jo pyaas paanī kā
uḌā ke le gayā hosh-o-havās paanī kā
kaTe shajar ke sisakte hue se pattoñ par
dikhā.ī detā hai chehra udaas paanī kā
sharīf logoñ kī āñkhoñ meñ aag rakh degī
pahan ke niklegī jab vo libās paanī kā
vo aise dekhtā rahtā hai merī āñkhoñ meñ
lagāne baiThā huuñ jaise qayās paanī kā
kināre ho ke khaḌe shor sun rahe ho kyā
utar ke dekho tahoñ meñ hirās paanī kā
tumheñ sañvarne kī sajne kī kyā zarūrat hai
chamaktā rahtā hai ruḳh par ujaas paanī kā
lipaT ga.e haiñ mire paañv se sabhī aflāk
jo mere haath meñ aayā gilās paanī kā
isī liye to mirā sar buland rahtā hai
hamesha azm rahā mere paas paanī kā
'nadīm' ghuum ke saare jahāñ meñ dekh liyā
koī bachā hī nahīñ ab shanās paanī kā
nibhaya ishq ne rishta jo pyas pani ka
uDa ke le gaya hosh-o-hawas pani ka
kaTe shajar ke sisakte hue se patton par
dikhai deta hai chehra udas pani ka
sharif logon ki aankhon mein aag rakh degi
pahan ke niklegi jab wo libas pani ka
wo aise dekhta rahta hai meri aankhon mein
lagane baiTha hun jaise qayas pani ka
kinare ho ke khaDe shor sun rahe ho kya
utar ke dekho tahon mein hiras pani ka
tumhein sanwarne ki sajne ki kya zarurat hai
chamakta rahta hai ruKH par ujas pani ka
lipaT gae hain mere panw se sabhi aflak
jo mere hath mein aaya gilas pani ka
isi liye to mera sar buland rahta hai
hamesha azm raha mere pas pani ka
'nadim' ghum ke sare jahan mein dekh liya
koi bacha hi nahin ab shanas pani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.