nigah aasi ki roz-e-mahshar amin-e-rahmat ko tak rahi hai
nigah aasi ki roz-e-mahshar amin-e-rahmat ko tak rahi hai
Tahavvur Ali Zaidi
MORE BYTahavvur Ali Zaidi
nigāh aasī kī roz-e-mahshar amīn-e-rahmat ko tak rahī hai
ajiib aalam hai bekasī kā nazar se hasrat Tapak rahī hai
mirī nazar fikr-e-ma.asiyat se rahīn-e-ġham aaj tak rahī hai
tumhī se vābasta haiñ umīdeñ tumhārī sūrat ko tak rahī hai
mujhe ho kyā ḳhauf-e-roz-e-mahshar ki zer-e-dāmān-e-mustafā huuñ
ḳhudā kī rahmat se merī duniyā mahak rahī hai lahak rahī hai
farishte kaise azal meñ har shai tumhārī azmat ko jhuk ga.ī thī
nigāh-e-iblīs meñ abhī tak vahī to azmat khaTak rahī hai
ḳhalīl kī jur.atoñ ko samjho sharār-e-namrūd ko na dekho
junūñ ne manzil ko pā liyā hai ḳhirad abhī tak bhaTak rahī hai
tumhāre lutf-o-karam kā sadqa hai donoñ aalam meñ kār-farmā
chaman chaman khil rahī haiñ kaliyāñ fazā-e-ālam mahak rahī hai
naved ai tishnigān-e-bāda hai josh par ab karam kā dariyā
ki chashm-e-sāqī se rūh-e-kausar ubal rahī hai jhalak rahī hai
vo dhar ke aaya hai abr-e-rahmat gunāhgāroñ ke sar pe 'zaidī'
darīche jannat ke khul ga.e haiñ sar apnā zulmat paTak rahī hai
nigah aasi ki roz-e-mahshar amin-e-rahmat ko tak rahi hai
ajib aalam hai bekasi ka nazar se hasrat Tapak rahi hai
meri nazar fikr-e-masiyat se rahin-e-gham aaj tak rahi hai
tumhi se wabasta hain umiden tumhaari surat ko tak rahi hai
mujhe ho kya KHauf-e-roz-e-mahshar ki zer-e-daman-e-mustafa hun
KHuda ki rahmat se meri duniya mahak rahi hai lahak rahi hai
farishte kaise azal mein har shai tumhaari azmat ko jhuk gai thi
nigah-e-iblis mein abhi tak wahi to azmat khaTak rahi hai
KHalil ki juraton ko samjho sharar-e-namrud ko na dekho
junun ne manzil ko pa liya hai KHirad abhi tak bhaTak rahi hai
tumhaare lutf-o-karam ka sadqa hai donon aalam mein kar-farma
chaman chaman khil rahi hain kaliyan faza-e-alam mahak rahi hai
nawed ai tishnigan-e-baada hai josh par ab karam ka dariya
ki chashm-e-saqi se ruh-e-kausar ubal rahi hai jhalak rahi hai
wo dhar ke aaya hai abr-e-rahmat gunahgaron ke sar pe 'zaidi'
dariche jannat ke khul gae hain sar apna zulmat paTak rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.