nigah aks ke har zawiye mein chhoD aaya
nigāh 'aks ke har zāviye meñ chhoḌ aaya
kisī ko khoyā huā aa.ine meñ chhoḌ aaya
mirā sukūn-e-haqīqī safar meñ muzmar thā
maiñ apne ghar ko kahāñ rāste meñ chhoḌ aaya
mirī nigāh meñ tum jis ko kar rahe ho talāsh
use to kab kā kisī hādse meñ chhoḌ aaya
jo saarī raat mire āñsuoñ meñ raushan thā
us intizār ko bujhte diye meñ chhoḌ aaya
ye kaun pūchhe samundar se jā ke sāhil par
musāfiroñ ko kahāñ rāste meñ chhoḌ aaya
kitāb-e-zīst kā 'unvān kyā rakhūñ 'nāshir'
maiñ us kī yaad ko har hāshiye meñ chhoḌ aaya
nigah 'aks ke har zawiye mein chhoD aaya
kisi ko khoya hua aaine mein chhoD aaya
mera sukun-e-haqiqi safar mein muzmar tha
main apne ghar ko kahan raste mein chhoD aaya
meri nigah mein tum jis ko kar rahe ho talash
use to kab ka kisi hadse mein chhoD aaya
jo sari raat mere aansuon mein raushan tha
us intizar ko bujhte diye mein chhoD aaya
ye kaun puchhe samundar se ja ke sahil par
musafiron ko kahan raste mein chhoD aaya
kitab-e-zist ka 'unwan kya rakhun 'nashir'
main us ki yaad ko har hashiye mein chhoD aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.