nigah-e-bad-guman hai aur main hun
Interesting Fact
25-4-1952
nigāh-e-bad-gumāñ hai aur maiñ huuñ
fareb-e-āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
sharīk-e-be-kasī aa.e kahāñ se
zamīñ par āsmāñ hai aur maiñ huuñ
udhar kyā ghūrtī hai kasmapursī
mirā azm-e-javāñ hai aur maiñ huuñ
sarāpā-gosh hai sub.h-e-shab-e-tār
kisī kī dāstāñ hai aur maiñ huuñ
ghuTā jaatā hai dam ai soz-e-ehsās
tah-e-dāman dhuāñ hai aur maiñ huuñ
havādis ab jise chāheñ sarāheñ
nasīb-e-dushmanāñ hai aur maiñ huuñ
qafas naġhmoñ se guuñj uThtā hai 'yāqūb'
umīd-e-ḳhush-bayāñ hai aur maiñ huuñ
nigah-e-bad-guman hai aur main hun
fareb-e-ashiyan hai aur main hun
sharik-e-be-kasi aae kahan se
zamin par aasman hai aur main hun
udhar kya ghurti hai kasmapursi
mera azm-e-jawan hai aur main hun
sarapa-gosh hai subh-e-shab-e-tar
kisi ki dastan hai aur main hun
ghuTa jata hai dam ai soz-e-ehsas
tah-e-daman dhuan hai aur main hun
hawadis ab jise chahen sarahen
nasib-e-dushmanan hai aur main hun
qafas naghmon se gunj uThta hai 'yaqub'
umid-e-KHush-bayan hai aur main hun
- Sang-e-meel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.