nigah-e-iltifat ab bad-guman malum hoti hai
nigāh-e-iltifāt ab bad-gumāñ mā'lūm hotī hai
mirī har baat duniyā ko girāñ mā'lūm hotī hai
taḌap uThte haiñ sajde raushnī mahsūs kartā huuñ
jabīñ merī qarīb-e-āstāñ mā'lūm hotī hai
qayāmat hai javānī ke dinoñ kā yaad aa jaanā
chaman kī sair bhī bār-e-garāñ mā'lūm hotī hai
ġham-o-andoh meñ ai kaash saarī zindagī guzre
yahī mujh ko hayāt-e-jāvidāñ mā'lūm hotī hai
tarī dil meñ nahīñ ab ḳhushk haiñ ashk-e-masarrat bhī
har ik ummīd gard-e-kārvāñ mā'lūm hotī hai
nihāñ haiñ un ke jalve aa.ina hairāñ hai qismat kā
nazar nā-āshnā-e-imtihāñ mā'lūm hotī hai
kisī zarre ne mahfil ke koī karvaT nahīñ badlī
abhī be-kaif merī dāstāñ mā'lūm hotī hai
nazar jalvoñ pe hai aur kuchh nazar aatā nahīñ ham ko
koī to chiiz hai jo darmiyāñ mā'lūm hotī hai
jo dil ke raaz the kyūñkar hue ā.īna duniyā par
zabān-e-vaqt terī hī zabāñ mā'lūm hotī hai
zabān-e-hāl se jab vaqt kī bedād suntā huuñ
mujhe to 'shauq' apnī dāstāñ mā'lūm hotī hai
nigah-e-iltifat ab bad-guman ma'lum hoti hai
meri har baat duniya ko giran ma'lum hoti hai
taDap uThte hain sajde raushni mahsus karta hun
jabin meri qarib-e-astan ma'lum hoti hai
qayamat hai jawani ke dinon ka yaad aa jaana
chaman ki sair bhi bar-e-garan ma'lum hoti hai
gham-o-andoh mein ai kash sari zindagi guzre
yahi mujh ko hayat-e-jawidan ma'lum hoti hai
tari dil mein nahin ab KHushk hain ashk-e-masarrat bhi
har ek ummid gard-e-karwan ma'lum hoti hai
nihan hain un ke jalwe aaina hairan hai qismat ka
nazar na-ashna-e-imtihan ma'lum hoti hai
kisi zarre ne mahfil ke koi karwaT nahin badli
abhi be-kaif meri dastan ma'lum hoti hai
nazar jalwon pe hai aur kuchh nazar aata nahin hum ko
koi to chiz hai jo darmiyan ma'lum hoti hai
jo dil ke raaz the kyunkar hue aaina duniya par
zaban-e-waqt teri hi zaban ma'lum hoti hai
zaban-e-haal se jab waqt ki bedad sunta hun
mujhe to 'shauq' apni dastan ma'lum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.