Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-lutf kya kam ho gai hai

Aleem Akhtar muzaffarnagri

nigah-e-lutf kya kam ho gai hai

Aleem Akhtar muzaffarnagri

MORE BYAleem Akhtar muzaffarnagri

    nigāh-e-lutf kyā kam ho ga.ī hai

    mohabbat aur mohkam ho ga.ī hai

    tabī.at kushta-e-ġham ho ga.ī hai

    charāġh-e-bazm-e-mātam ho ga.ī hai

    ma.āl-e-zabt-e-paiham ho ga.ī hai

    masarrat hāsil-e-ġham ho ga.ī hai

    tamannā jab baḌhī hai apnī had se

    to māyūsī aalam ho ga.ī hai

    na jaane kyuuñ adāvat adāvat hai

    sirisht-e-ibn-e-ādam ho ga.ī hai

    hai mahv-e-raqs har barg-e-chaman par

    baḌī bebāk shabnam ho ga.ī hai

    hañsī hoñToñ par aate aate 'aḳhtar'

    payām-e-girya-e-ġham ho ga.ī hai

    nigah-e-lutf kya kam ho gai hai

    mohabbat aur mohkam ho gai hai

    tabiat kushta-e-gham ho gai hai

    charagh-e-bazm-e-matam ho gai hai

    maal-e-zabt-e-paiham ho gai hai

    masarrat hasil-e-gham ho gai hai

    tamanna jab baDhi hai apni had se

    to mayusi ka aalam ho gai hai

    na jaane kyun adawat hi adawat hai

    sirisht-e-ibn-e-adam ho gai hai

    hai mahw-e-raqs har barg-e-chaman par

    baDi bebak shabnam ho gai hai

    hansi honTon par aate aate 'aKHtar'

    payam-e-girya-e-gham ho gai hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nigah-e-lutf kya kam ho gai hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now