nigah-e-mast-e-saqi ka ishaara pa ke pita hun
nigāh-e-mast-e-sāqī kā ishāra pā ke piitā huuñ
hudūd-e-hosh kī manzil se bāhar jā ke piitā huuñ
ghaTā.eñ jhuum kar aatī haiñ jab maiḳhāne kī jānib
maiñ apnī ḳhūbī-e-taqdīr par itrā ke piitā huuñ
dar-e-pīr-e-muġhāñ se izn-e-bāda 'aam hote hī
tabī'at mast ho jaatī hai maiñ lahrā ke piitā huuñ
bahar-ālam hai ehsās-e-ḳhatā ummīd-e-rahmat par
kabhī ghabrā ke piitā huuñ kabhī sharmā ke piitā huuñ
'amīr'-e-dehlavī mai-ḳhāna-e-'ġhālib' se maiñ aksar
sharāb-e-fan ḳhum-e-she'r-o-suḳhan meñ lā ke piitā huuñ
nigah-e-mast-e-saqi ka ishaara pa ke pita hun
hudud-e-hosh ki manzil se bahar ja ke pita hun
ghaTaen jhum kar aati hain jab maiKHane ki jaanib
main apni KHubi-e-taqdir par itra ke pita hun
dar-e-pir-e-mughan se izn-e-baada 'am hote hi
tabi'at mast ho jati hai main lahra ke pita hun
bahar-alam hai ehsas-e-KHata ummid-e-rahmat par
kabhi ghabra ke pita hun kabhi sharma ke pita hun
'amir'-e-dehlawi mai-KHana-e-'ghaalib' se main aksar
sharab-e-fan KHum-e-she'r-o-suKHan mein la ke pita hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.