nigah-e-mast ka kaif-e-KHumar kya kahiye
nigah-e-mast ka kaif-e-KHumar kya kahiye
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
nigāh-e-mast kā kaif-e-ḳhumār kyā kahiye
bahār goyā hai andar bahār kyā kahiye
ma.āl-e-husn-parastī-e-yār kyā kahiye
nazar nazar hai mirī jalva yaar kyā kahiye
qadam qadam pe nigāhoñ ne Thokareñ khā.īñ
fareb-e-jalva-e-rañgīñ-bahār kyā kahiye
ye intizār kisī kā are ma'āz-allāh
luTā chukā huuñ matā.a-e-qarār kyā kahiye
unheñ ḳhayāl kī mahfil meñ DhūñDne niklī
mirī nazar kā ġhalat e'tibār kyā kahiye
hameñ ishāra-e-kun ke fareb ne maarā
jahāñ meñ aa ga.e dīvāna-vār kyā kahiye
har ek zarre meñ ik tuur kar liyā paidā
nigāh-e-shauq tirā eqtidār kyā kahiye
patiñge roz hazāroñ banā.e jaate haiñ
mirā taqaddus-e-ḳhāk-e-mazār kyā kahiye
sitam to ye hai ki ham ḳhud sitam ke ḳhūgar haiñ
shikāyat-e-sitam-rozgār kyā kahiye
nigah-e-mast ka kaif-e-KHumar kya kahiye
bahaar goya hai andar bahaar kya kahiye
maal-e-husn-parasti-e-yar kya kahiye
nazar nazar hai meri jalwa yar kya kahiye
qadam qadam pe nigahon ne Thokaren khain
fareb-e-jalwa-e-rangin-bahaar kya kahiye
ye intizar kisi ka are ma'az-allah
luTa chuka hun mataa-e-qarar kya kahiye
unhen KHayal ki mahfil mein DhunDne nikli
meri nazar ka ghalat e'tibar kya kahiye
hamein ishaara-e-kun ke fareb ne mara
jahan mein aa gae diwana-war kya kahiye
har ek zarre mein ek tur kar liya paida
nigah-e-shauq tera eqtidar kya kahiye
patinge roz hazaron banae jate hain
mera taqaddus-e-KHak-e-mazar kya kahiye
sitam to ye hai ki hum KHud sitam ke KHugar hain
shikayat-e-sitam-rozgar kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.