nigah-e-muKHtasar se dastan tak baat ja pahunchi
nigah-e-muKHtasar se dastan tak baat ja pahunchi
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
nigāh-e-muḳhtasar se dāstāñ tak baat jā pahuñchī
ḳhudā jaane kahāñ se ab kahāñ tak baat jā pahuñchī
nigāhoñ kī zabāñ ne kah diyā jo kuchh na kahnā thā
dil-e-sozāñ se jab ashk-e-ravāñ tak baat jā pahuñchī
sañvar uTThī hai kyā zulf-e-zamīñ ab dast-e-insāñ se
ki māh-o-mushtarī-o-āsmāñ tak baat jā pahuñchī
huā to faisla dil kā ishāroñ meñ kunā.eñ meñ
kahāñ vo lutf jab lafz-e-bayāñ tak baat jā pahuñchī
balā se sāz-e-dil TuuTe sadā lekin na paidā ho
huī rusvā mohabbat jab fuġhāñ tak baat jā pahuñchī
ga.ī shāyad javānī aur gayā andāz-e-jur.at bhī
ki ab andesha-e-sūd ziyāñ tak baat jā pahuñchī
kabhī gulshan meñ apnā bhī nasheman thā chaman vaalo
ḳhudā jaane ye kyoñ barq-e-tapāñ tak baat jā pahuñchī
nazar be-bāk dil bebāk kyā parvā 'habīb' us kī
yahāñ tak baat jā pahuñchī vahāñ tak baat jā pahuñchī
nigah-e-muKHtasar se dastan tak baat ja pahunchi
KHuda jaane kahan se ab kahan tak baat ja pahunchi
nigahon ki zaban ne kah diya jo kuchh na kahna tha
dil-e-sozan se jab ashk-e-rawan tak baat ja pahunchi
sanwar uTThi hai kya zulf-e-zamin ab dast-e-insan se
ki mah-o-mushtari-o-asman tak baat ja pahunchi
hua to faisla dil ka ishaaron mein kunaen mein
kahan wo lutf jab lafz-e-bayan tak baat ja pahunchi
bala se saz-e-dil TuTe sada lekin na paida ho
hui ruswa mohabbat jab fughan tak baat ja pahunchi
gai shayad jawani aur gaya andaz-e-jurat bhi
ki ab andesha-e-sud ziyan tak baat ja pahunchi
kabhi gulshan mein apna bhi nasheman tha chaman walo
KHuda jaane ye kyon barq-e-tapan tak baat ja pahunchi
nazar be-bak dil bebak kya parwa 'habib' us ki
yahan tak baat ja pahunchi wahan tak baat ja pahunchi
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 38)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.