nigah-e-naz se barbaadi-e-dil dekhne wale
nigah-e-naz se barbaadi-e-dil dekhne wale
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
nigāh-e-nāz se barbādī-e-dil dekhne vaale
mujhe bhī dekh o ulfat kā hāsil dekhne vaale
nazar aa jā kabhī ā.īna-e-dil dekhne vaale
mirī hastī meñ apnā husn-e-kāmil dekhne vaale
kabhī to shoḳhī-e-mashq-e-sitam kī intihā hogī
kabhī to daad deñge hasrat-e-dil dekhne vaale
ḳhamoshī par na jā ek ik nafas labrez-e-mātam hai
ġham-e-dil bhī to dekh o rāhat-e-dil dekhne vaale
ma.āl-e-justajū hai ik nashāt-e-zauq-e-nākāmī
na hañs o hāsil-e-tahsīl-e-hāsil dekhne vaale
mirī betābiyāñ lene na deñgī chain tujh ko bhī
maze le le ke o betābī-e-dil dekhne vaale
harīf-e-lazzat-e-zauq-e-fanā ahl-e-havas kyā hoñ
na hoñge āshnā-e-bahr sāhil dekhne vaale
sahar-dam ḳhāk-e-parvāna pe haiñ kuchh sham.a ke aañsū
vo mahfil hai na ab vo rang-e-mahfil dekhne vaale
jinheñ jaanā thā kab ke manzil-e-maqsūd tak pahoñche
rahe chakkar meñ buad-o-qurb-e-manzil dekhne vaale
rahā kyā ḳhaak baaqī ab hai jis kī justujū tujh ko
jalā kar dil ko o ḳhākistar-e-dil dekhne vaale
tujhe ma.alūm kyā tūfānoñ meñ kyā kyā guzartī hai
tamāshā-e-fazā-e-mauj-o-sāhil dekhne vaale
mirī afsurdagī ā.īna-e-bedād-e-qātil hai
mujhe dekheñ bahār-e-husn-e-qātil dekhne vaale
jo honā thā huā ab is pashemānī se kyā hāsil
nigāh-e-yās se o sū-e-bismil dekhne vaale
qafas se āshiyāñ tak raqs meñ haiñ bijliyāñ 'farruḳh'
kidhar jā.eñge chhuT kar ḳhvāb-e-manzil dekhne vaale
nigah-e-naz se barbaadi-e-dil dekhne wale
mujhe bhi dekh o ulfat ka hasil dekhne wale
nazar aa ja kabhi aaina-e-dil dekhne wale
meri hasti mein apna husn-e-kaamil dekhne wale
kabhi to shoKHi-e-mashq-e-sitam ki intiha hogi
kabhi to dad denge hasrat-e-dil dekhne wale
KHamoshi par na ja ek ek nafas labrez-e-matam hai
gham-e-dil bhi to dekh o rahat-e-dil dekhne wale
maal-e-justaju hai ek nashat-e-zauq-e-nakaami
na hans o hasil-e-tahsil-e-hasil dekhne wale
meri betabiyan lene na dengi chain tujh ko bhi
maze le le ke o betabi-e-dil dekhne wale
harif-e-lazzat-e-zauq-e-fana ahl-e-hawas kya hon
na honge aashna-e-bahr sahil dekhne wale
sahar-dam KHak-e-parwana pe hain kuchh shama ke aansu
wo mahfil hai na ab wo rang-e-mahfil dekhne wale
jinhen jaana tha kab ke manzil-e-maqsud tak pahonche
rahe chakkar mein buad-o-qurb-e-manzil dekhne wale
raha kya KHak baqi ab hai jis ki justuju tujh ko
jala kar dil ko o KHakistar-e-dil dekhne wale
tujhe malum kya tufanon mein kya kya guzarti hai
tamasha-e-faza-e-mauj-o-sahil dekhne wale
meri afsurdagi aaina-e-bedad-e-qatil hai
mujhe dekhen bahaar-e-husn-e-qatil dekhne wale
jo hona tha hua ab is pashemani se kya hasil
nigah-e-yas se o su-e-bismil dekhne wale
qafas se aashiyan tak raqs mein hain bijliyan 'farruKH'
kidhar jaenge chhuT kar KHwab-e-manzil dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.