nigah-e-naz se bijli gira ke dekho to
nigāh-e-nāz se bijlī girā ke dekho to
hamārā zarf kabhī aazmā ke dekho to
jo ban paḌe to uThāo naqāb-e-rū-e-hayāt
ruḳh-e-nigār se parda haTā ke dekho to
na aao tum mire ghar kī taraf pe ye to karo
milo jo raah meñ nazreñ bachā ke dekho to
giro na ahl-e-vafā kī nazar se tab jāneñ
nazar se apnī hameñ tum girā ke dekho to
faqat haiñ kahne kī bāteñ haqīqat aur majāz
na jhāñko aa.ine meñ paas aa ke dekho to
piyo to ritl-e-girāñ vā.iz-e-karam-farmā
kisī kī aañkh se Tuk Dagmagā ke dekho to
varaq varaq hai chaman-zār-e-harf-e-rāz magar
naqāb-e-āriz-e-ma.anī uThā ke dekho to
nahīñ haiñ vaqt ki rūTheñ to phir vo man na sakeñ
hazār baar manāo manā ke dekho to
vo kahte haiñ ki lagāvaT nahīñ unheñ 'naqvī'
zarā tum un kī taraf muskurā ke dekho to
nigah-e-naz se bijli gira ke dekho to
hamara zarf kabhi aazma ke dekho to
jo ban paDe to uThao naqab-e-ru-e-hayat
ruKH-e-nigar se parda haTa ke dekho to
na aao tum mere ghar ki taraf pe ye to karo
milo jo rah mein nazren bacha ke dekho to
giro na ahl-e-wafa ki nazar se tab jaanen
nazar se apni hamein tum gira ke dekho to
faqat hain kahne ki baaten haqiqat aur majaz
na jhanko aaine mein pas aa ke dekho to
piyo to ritl-e-giran waiz-e-karam-farma
kisi ki aankh se Tuk Dagmaga ke dekho to
waraq waraq hai chaman-zar-e-harf-e-raaz magar
naqab-e-ariz-e-mani uTha ke dekho to
nahin hain waqt ki ruThen to phir wo man na saken
hazar bar manao mana ke dekho to
wo kahte hain ki lagawaT nahin unhen 'naqwi'
zara tum un ki taraf muskura ke dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.