nigah-e-naz se kuchh is tarah ishaare hue
nigāh-e-nāz se kuchh is tarah ishāre hue
kabhī vo sūrat-e-gul aur kabhī sitāre hue
thake thake se chale aa.e ham sar-e-mahfil
qadam qadam ruḳh-e-raushan pe ġham sañvāre hue
vo phuul jo ki amānat the ashk-e-avval ke
chaman meñ jaise kisī shāḳh se utāre hue
bhañvar se koī shikāyat nahīñ rahī ham ko
hamāre bas meñ kināre hī kab kināre hue
ki dard-e-dil se guzar kar kahāñ panah milī
ab aur bhī dil-e-pur-soz ke sahāre hue
mire nasīb ne dikhlā.e rang yuuñ 'resham'
jinheñ maiñ phuul samajhtī thī sab sharāre hue
nigah-e-naz se kuchh is tarah ishaare hue
kabhi wo surat-e-gul aur kabhi sitare hue
thake thake se chale aae hum sar-e-mahfil
qadam qadam ruKH-e-raushan pe gham sanware hue
wo phul jo ki amanat the ashk-e-awwal ke
chaman mein jaise kisi shaKH se utare hue
bhanwar se koi shikayat nahin rahi hum ko
hamare bas mein kinare hi kab kinare hue
ki dard-e-dil se guzar kar kahan panah mili
ab aur bhi dil-e-pur-soz ke sahaare hue
mere nasib ne dikhlae rang yun 'resham'
jinhen main phul samajhti thi sab sharare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.